Chapter 4 of 17
Chapter 4: Sara in Party
1.4k words
Hall mein tez gaano ki aawaz goonj rahi thi. Har taraf colorful lights chal rahi then aur college ke ladke ladkiyan ek dosre ke sath nachne mein masroof the. Sarah ne Anjum ko majboor kiya tha ke woh uske sath is party mein chale, lekin Anjum Shuru se hi yahan aane par pachtaa rahi thi. Usne jo naya frock pehna tha, uska gala zaroorat se zyada gehra tha. Jab bhi woh saans leti ya thoda aage jhukti, uski xubsoorat seene ki lakeer saaf nazar aane lagti thi.
Anjum baar baar apne dupatte ko aage khinch kar apna seena chupane ki koshish kar rahi thi. Uski nazrein zameen par gadi hui then. Raju hall ke kone mein khada unhi ki taraf dekh raha tha. Uske hath mein cold drink ka glass tha aur uski nazrein Sarah par kam, Anjum par zyada then.
Raju chalta hua Anjum ke kareeb aaya. Uska jism Anjum se mahaz kuch inch ki doori par tha. Usne apni gehri nazrein Anjum ke khule gale par jamaye rakhein.
"Anjum, aaj toh tum bilkul kamaal lag rahi ho," Raju ne dheemi, bhari aawaz mein kaha. Uske chehre par ek ajeeb si muskan thi. "Itni xubsoorat lag rahi ho ke meri nazrein hi nahi hatt rahi."
Anjum ka dil zor se dhadakne laga. Usne apna dupatta aur kas kar pakad liya. "Aap... aap Sarah ke paas jayein. Main yahan theek hoon."
"Sarah toh apne doston mein masroof hai," Raju ne thoda aur aage jhuk kar kaha. Uska sans Anjum ke gaal ko chhu raha tha. "Tumhara yeh dress bohot pyara hai, Anjum. Khas tor par yeh gala... tum par bohot janch raha hai."
Anjum ne apna chehra dosri taraf morh liya. Uska dil chahta tha ke woh abhi yahan se bhaag jaye. Usne Sarah ki taraf dekha, jo doston ke sath hass hass kar baatein kar rahi thi aur use Anjum ke masley ka zara bhi ahsaas nahi tha. Raju ne Anjum ko mazeed tang karna jari rakha jab tak party khatam nahi ho gayi.
Raat ke kareeb gyara baje, Raju ne dono behno ko apni car mein bitha liya taake unhe ghar chhor sake. Poore raste Raju side mirror mein se Anjum ki taraf dekhta raha. Anjum car ki khidki ke sath bilkul dupak kar baithi rahi.
Jab car unke mohalle ke kone par ruki, Sarah ne darwaza khola. "Shukriya Raju, party bohot achhi thi."
Raju ne muskura kar Sarah ko dekha aur phir uski nazar pichhe baithi Anjum par gayi. "Maza toh abhi shuru hua hai. Kal subah milte hain."
---
Agli subah ghar mein bilkul xamoshi thi. Aslam roz ki tarah subah hi apne unemployed doston ke sath chai ke hotel par ja chuka tha. Kiran kitchen mein bartan dhone mein masroof thi jab bahar ka darwaza khatkaa.
Sarah ne ja kar darwaza khola toh samne Raju khada tha. Uske chehre par wahi hamesha wali shareefana muskan thi, jise dekh kar koi bhi dhoka khaa sakta tha.
"Arre Raju, tum itni subah?" Sarah ne poocha.
"Aunti hain ghar par? Kuch zaroori baat karni thi," Raju ne kaha aur andar aagaya.
Kiran kitchen se bahar aayi, apne hath dupatta se poonchti hui. Uske chehre par thakan ke aasaar saaf nazar aa rahe the. Raju ne aage barh kar Kiran ke paon chhue aur bohot hi izzat se salam kiya.
"Aunti, actually humare college ke kuch friends ne do din ke liye ek picnic plan ki hai. Ek bohot pyara resort book kiya hai shahar se bahar," Raju ne nihayat meetha lehja istemal karte hue kaha. "Main chahta hoon ke Sarah aur Anjum bhi humare sath chalein. Aap bilkul fikar mat karein, main khud in dono ka khayal rakhunga."
Kiran ne thoda hichkichate hue kaha, "Lekin Raju beta, inke abba ko pata chala toh woh bohot naraz honge. Do din ke liye bhejra mushkil hai."
"Aunti, Aslam uncle ko pata hi nahi chalega," Sarah ne aage barh kar Kiran ka hath pakadte hue ilteja ki. "Hum bohot dino se kahin nahi gaye. Please ami, sirf do din ki toh baat hai. Raju sath hai toh aapko fikar kis baat ki hai?"
Kiran ne Raju ke shareefana chehre ko dekha aur phir Sarah ki aas bhari aankhon ko. Phir usne ek gehri saans li. "Theek hai, main do din ki ijazat deti hoon. Lekin dhyan rakhna, wahan se mujhe phone karti rehna. Aur parson shaam tak har halat mein wapas aana hai."
Raju ke chehre par ek pal ke liye ajeeb si shaitani chamak aayi, jise usne turant chupaa liya. "Aap bilkul befikar rahein aunti. Main inhe sahee salamat wapas laonga."
---
Dopper hote hi Sarah aur Anjum apne kamre mein packing karne lagien. Sarah bohot khush thi aur apne achhe achhe kapde bag mein daal rahi thi. Lekin Anjum ke dil mein ek ajeeb sa darr baith gaya tha. Kal raat party mein Raju ki nazrein aur uska tareeka-e-kaar Anjum ko baar baar yaad aa raha tha.
"Sarah, kya humara jana zaroori hai?" Anjum ne bed par baithte hue aahista se kaha. "Mera dil kuch sahi nahi keh raha."
Sarah ne mud kar Anjum ko dekha aur hans padi. "Tum bhi na Anjum, har baat mein darti rehti ho. Raju mera dost hai, woh kitna achha hai. Phir hum sab sath hain, tum kyun tension le rahi ho? Jaldi se apna bag ready karo."
Dosri taraf, Raju apne ghar ke kamre mein tha. Usne apna bada sa traveling bag bed par khola aur usme kapde rakhne laga. Usne dressing table ke sheeshe mein apna aaks dekha aur apni moochon par hath pherte hue muskura diya.
"Do din... do pooray din," Raju ne khud se kaha. Uski aankhon mein ek hawas bhara junoon tha. "Is baar Anjum mere sath akeli hogi. Dekhta hoon woh kaise bachti hai."
Raat ke kareeb das baje ka waqt tha. Pura mohalla so chuka tha. Raju ne apni gaadi gali ke bahar khadi ki aur aahista se horn bajaya. Sarah aur Anjum apne bags utha kar kamre se bahar aayien.
Kiran ne darwaze par unhe roka aur dono ko gale lagaya. "Apna khayal rakhna, aur kisi ajnabi par bharosa mat karna."
Unohne quietly ghar se bahar qadam rakha aur Raju ki gaadi mein ja baithien. Gaadi station ki taraf daudne lagi.
---
Railway station ke parking area mein gaadi ruki. Charon taraf andhera aur halki chhalpahl thi. Raju ne gaadi ka trunk khola aur saman nikalne laga.
Sarah ne apna chota purse khola aur achanak ruk gayi. Uska chehra peela pad gaya.
"Kya hua Sarah?" Anjum ne poocha.
"Mera chota wala hand bag... jisme mera ID card aur zaroori documents the, woh toh main counter par hi bhool aayi!" Sarah ne ghabra kar kaha.
"Ab kya hoga? Train aane mein sirf aadha ghanta baki hai," Raju ne ghadi dekhte hue kaha.
"Main abhi bhag kar jaati hoon aur le aati hoon. Yahan se ghar sirf paanch minute ka rasta hai. Tum log saman yahin sambhalo, main bas abhi aayi!" Sarah ne bag wahan chhoda aur tezi se wapas ghar ki taraf daud padi.
Sarah haanpti hui apne mohalle mein pohnchi. Gali mein sannata tha. Jab woh apne ghar ke darwaze par pohnchi toh usne dekha ke bahar ka main darwaza thoda sa khula hua tha. Light andar se bahar aa rahi thi.
'Ami ne darwaza kundi kyun nahi kiya?' Sarah ne socha. Usne bina aawaz kiye darwaza thora aur dhaka aur andar dakhil hui.
Courtyard mein andhera tha lekin kitchen aur baramde ke paas wali light jal rahi thi. Sarah ke qadam aahista aahista aage barhe. Phir usne ek aawaz suni—kisi mard ki aawaz, jo bohot aahista bol raha tha.
Sarah ek pillar ke pichhe chup gayi aur aage dekha. Parda thoda sa hata hua tha.
Andar Kiran khadi thi, aur uske bilkul samne wahi aadmi khada tha—pani wala aadmi, jo kuch din pehle plumber ban kar aaya tha. Us aadmi ka hath Kiran ke kaandhe par tha aur woh Kiran ke bohot kareeb jhuka hua tha. Kiran ke baal bikhre hue the aur woh niche dekh kar uski baat sun rahi thi.
Sarah ka dil halak mein aagaya. Uske jism se jaan nikalne lagi. Woh hairat aur sadme se wahin jam gayi. Sadme mein uske hath se counter par rakha hua ek peetal ka gilas niche gira aur zor dar aawaz hui.